mubham nigarshat ko fan kah diya gaya
mub.ham nigārshāt ko fan kah diyā gayā
banjar zamīñ ko shahr-e-suḳhan kah diyā gayā
hai ab bhī un ke naam se raushan bisāt-e-sher
vo jin ko e'tibār-e-suḳhan kah diyā gayā
kitne hī bāġhbānoñ ke chehre utar ga.e
bigḌā huā jo nazm-e-chaman kah diyā gayā
ḳhāshāk ko kahā gayā nasrīn-o-nastaran
kāñTe uge to sarv saman kah diyā gayā
ham ne bhī khurdure hī mazāmīñ kiye talāsh
jab khurdurā ġhazal kā badan kah diyā gayā
'rahmat' jahāñ ham aaj haiñ kal bhī vahīñ pe the
kahne ko yuuñ urūj-e-vatan kah diyā gayā
mubham nigarshat ko fan kah diya gaya
banjar zamin ko shahr-e-suKHan kah diya gaya
hai ab bhi un ke nam se raushan bisat-e-sher
wo jin ko e'tibar-e-suKHan kah diya gaya
kitne hi baghbanon ke chehre utar gae
bigDa hua jo nazm-e-chaman kah diya gaya
KHashak ko kaha gaya nasrin-o-nastaran
kanTe uge to sarw saman kah diya gaya
hum ne bhi khurdure hi mazamin kiye talash
jab khurdura ghazal ka badan kah diya gaya
'rahmat' jahan hum aaj hain kal bhi wahin pe the
kahne ko yun uruj-e-watan kah diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.