mubtala ek but ka hota hun
mubtalā ek but kā hotā huuñ
aaj īmān apnā khotā huuñ
teġh-e-abrū ke tiir 'ishq meñ yaar
jaan se apnī haath dhotā huuñ
jaan legī ye muft kī begār
bār-e-ranj-e-firāq Dhotā huuñ
ġhote khātā huuñ bahr-e-ulfat meñ
haal par apne aap rotā huuñ
ek jhūTe ke vasf-e-dandāñ meñ
sachche motī sadā pirotā huuñ
dil lagātā huuñ un kī mizhgāñ se
apne haq meñ ye kāñTe botā huuñ
ġham meñ ik māh-vash ke ashkoñ se
dāman-e-āsmāñ bhigotā huuñ
baḳht-e-ḳhufta kā huuñ dil-e-bedār
kaun shab ai 'vaqār' sotā huuñ
mubtala ek but ka hota hun
aaj iman apna khota hun
tegh-e-abru ke tir 'ishq mein yar
jaan se apni hath dhota hun
jaan legi ye muft ki begar
bar-e-ranj-e-firaq Dhota hun
ghote khata hun bahr-e-ulfat mein
haal par apne aap rota hun
ek jhuTe ke wasf-e-dandan mein
sachche moti sada pirota hun
dil lagata hun un ki mizhgan se
apne haq mein ye kanTe bota hun
gham mein ek mah-wash ke ashkon se
daman-e-asman bhigota hun
baKHt-e-KHufta ka hun dil-e-bedar
kaun shab ai 'waqar' sota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.