mudam jaur-o-jafa hai tumhaari basti mein
mudām jaur-o-jafā hai tumhārī bastī meñ
sitam kā baab khulā hai tumhārī bastī meñ
tumhāre husn kī maqbūliyat kā kyā kahnā
har ek tum pe fidā hai tumhārī bastī meñ
sitam miTāne tum aa.e the merī lanka meñ
batāo raam ye kyā hai tumhārī bastī meñ
ġharībī ha.Tne na paa.e girānī aur baḌhe
amīrī mahv-e-duā hai tumhārī bastī meñ
huā nahīñ kabhī chañgezī daur meñ jo sitam
janāb-e-man vo huā hai tumhārī bastī meñ
halāl rozī se bhūke maro na tum 'maḳhfī'
harām bhī to ravā hai tumhārī bastī meñ
mudam jaur-o-jafa hai tumhaari basti mein
sitam ka bab khula hai tumhaari basti mein
tumhaare husn ki maqbuliyat ka kya kahna
har ek tum pe fida hai tumhaari basti mein
sitam miTane tum aae the meri lanka mein
batao ram ye kya hai tumhaari basti mein
gharibi haTne na pae girani aur baDhe
amiri mahw-e-dua hai tumhaari basti mein
hua nahin kabhi changezi daur mein jo sitam
janab-e-man wo hua hai tumhaari basti mein
halal rozi se bhuke maro na tum 'maKHfi'
haram bhi to rawa hai tumhaari basti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.