muddat ke baad nind lagi aur ek KHwab
muddat ke baa'd niiñd lagī aur ek ḳhvāb
aisā dikhā ki us ne bhī sone nahīñ diyā
ik zaḳhm bhar rahā thā dil-e-zār kā magar
vo kaam bhī to aap ne hone nahīñ diyā
maanā ki sab kī zindagī ġham meñ hai mubtalā
lekin vo kyā kare jise rone nahīñ diyā
auroñ ke zikr se mujhe rokā hai baar baar
apne ḳhayāl meñ bhī to khone nahīñ diyā
muddat ke ba'd nind lagi aur ek KHwab
aisa dikha ki us ne bhi sone nahin diya
ek zaKHm bhar raha tha dil-e-zar ka magar
wo kaam bhi to aap ne hone nahin diya
mana ki sab ki zindagi gham mein hai mubtala
lekin wo kya kare jise rone nahin diya
auron ke zikr se mujhe roka hai bar bar
apne KHayal mein bhi to khone nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.