muddat se hai milne ki tamanna mere dil mein
muddat se hai milne kī tamanna mire dil meñ
bulvā.iye yā ā.īye shāhā mire dil meñ
hai ḳhauf na duniyā kā na andesha-e-uqbā
hai tere hī rahmat kā bharosā mire dil meñ
bīmār hai bīmārī-e-isyāñ se mirā dil
aa jaao kabhī mere masīhā mire dil meñ
zulf-o-ruḳh-e-mahbūb kā rahtā hai tasavvur
ka.aba mire dil meñ hai kalīsā mire dil meñ
bas ek tamanna hai dikhā dījiye jalva
vallāh nahīñ aur tamanna mire dil meñ
lagtā nahīñ dil apnā tamāshā-e-jahāñ meñ
jab se ki khiñchā hai tirā naqsha mire dil meñ
sīmāb kī mānind taḌaptā hai dil-e-zār
hotā hai nayā roz tamāshā mire dil meñ
har daaġh mire siina kā rahtā hai daraḳhshāñ
muusā kī tarah hai yad-e-baizā mire dil meñ
hāthoñ pe ho saaqī ke 'qamar' jaan tasadduq
kuchh rang ajab kar diyā paidā mire dil meñ
muddat se hai milne ki tamanna mere dil mein
bulwaiye ya aaiye shaha mere dil mein
hai KHauf na duniya ka na andesha-e-uqba
hai tere hi rahmat ka bharosa mere dil mein
bimar hai bimari-e-isyan se mera dil
aa jao kabhi mere masiha mere dil mein
zulf-o-ruKH-e-mahbub ka rahta hai tasawwur
kaba mere dil mein hai kalisa mere dil mein
bas ek tamanna hai dikha dijiye jalwa
wallah nahin aur tamanna mere dil mein
lagta nahin dil apna tamasha-e-jahan mein
jab se ki khincha hai tera naqsha mere dil mein
simab ki manind taDapta hai dil-e-zar
hota hai naya roz tamasha mere dil mein
har dagh mere sina ka rahta hai daraKHshan
musa ki tarah hai yad-e-baiza mere dil mein
hathon pe ho saqi ke 'qamar' jaan tasadduq
kuchh rang ajab kar diya paida mere dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.