muddaton baad kahin aisi ghaTa chhai thi
muddatoñ baa'd kahīñ aisī ghaTā chhā.ī thī
pyaas kī dhundh phir āñkhoñ pe utar aa.ī thī
faisle apne zamāne pe kabhī mat chhoḌo
maiñ ne ye baat use pahle hī samjhā.ī thī
hairatī huuñ ki vo itnā bhī nibhā paayā mujhe
us kī jis tarh ke logoñ se shanāsā.ī thī
'ishq is darja kitābī bhī nahīñ ho saktā
vo dikhāve vo adākārī hī sachchā.ī thī
koī mā'mūl meñ tabdīlī nahīñ thī lekin
ghar meñ kuchh aaj 'ajab tarh kī tanhā.ī thī
muddaton ba'd kahin aisi ghaTa chhai thi
pyas ki dhundh phir aankhon pe utar aai thi
faisle apne zamane pe kabhi mat chhoDo
main ne ye baat use pahle hi samjhai thi
hairati hun ki wo itna bhi nibha paya mujhe
us ki jis tarh ke logon se shanasai thi
'ishq is darja kitabi bhi nahin ho sakta
wo dikhawe wo adakari hi sachchai thi
koi ma'mul mein tabdili nahin thi lekin
ghar mein kuchh aaj 'ajab tarh ki tanhai thi
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 46)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.