muddaton baad jo hum shahr mein kal aae hain
muddatoñ baad jo ham shahr meñ kal aa.e haiñ
ḳhair-maqdam se bhare radd-e-amal aa.e haiñ
kyā gunahgāroñ kī fihrist hai aane vaalī
kis liye aap kī peshānī pe bal aa.e haiñ
vasl hī vasl hai ab hijr jahāñ likkhā thā
qissa-e-ishq kā unvān badal aa.e haiñ
sab ko ye manzar-e-āseb dikhāyā kis ne
aaj kal sab ke dimāġhoñ meñ ḳhalal aa.e haiñ
pīchhā karte hue ham ek ġhazal kā kal raat
'mīr' kī dillī se punjab nikal aa.e haiñ
us ko ab karnā ho jo tark-e-ta.alluq kar le
ham malāl-e-dil-e-betāb ugal aa.e haiñ
hazrat-e-qais haiñ ham-zād hamāre 'dilbar'
ham se milne ke liye pahle pahal aa.e haiñ
muddaton baad jo hum shahr mein kal aae hain
KHair-maqdam se bhare radd-e-amal aae hain
kya gunahgaron ki fihrist hai aane wali
kis liye aap ki peshani pe bal aae hain
wasl hi wasl hai ab hijr jahan likkha tha
qissa-e-ishq ka unwan badal aae hain
sab ko ye manzar-e-aseb dikhaya kis ne
aaj kal sab ke dimaghon mein KHalal aae hain
pichha karte hue hum ek ghazal ka kal raat
'mir' ki dilli se punjab nikal aae hain
us ko ab karna ho jo tark-e-talluq kar le
hum malal-e-dil-e-betab ugal aae hain
hazrat-e-qais hain ham-zad hamare 'dilbar'
hum se milne ke liye pahle pahal aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.