muddaton humne gham sambhaale hain
muddatoñ ham ne ġham sambhāle haiñ
ab tirī yaad ke havāle haiñ
zindagī ke hasīn chehre par
ġham ne kitne hijāb Daale haiñ
kuchh ġham-e-zīst kā shikār hue
kuchh masīhā ne maar Daale haiñ
rah-guzār-e-hayāt meñ ham ne
ḳhud na.e rāste nikāle haiñ
ai shab-e-ġham zarā sambhāl ke rakh
ham tirī sub.h ke ujāle haiñ
zauq-e-khud-āgahī ne ai 'qābil'
kitne but-ḳhāne toḌ Daale haiñ
muddaton hum ne gham sambhaale hain
ab teri yaad ke hawale hain
zindagi ke hasin chehre par
gham ne kitne hijab Dale hain
kuchh gham-e-zist ka shikar hue
kuchh masiha ne mar Dale hain
rah-guzar-e-hayat mein hum ne
KHud nae raste nikale hain
ai shab-e-gham zara sambhaal ke rakh
hum teri subh ke ujale hain
zauq-e-khud-agahi ne ai 'qabil'
kitne but-KHane toD Dale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.