muflisi husn ko bazar mein le aati hai
muflisī husn ko bāzār meñ le aatī hai
'mīr' jaisoñ ko bhī darbār meñ le aatī hai
ishq bātoñ meñ tirī ham nahīñ aane vaale
ik ḳhatā ḳhuld se sansār meñ le aatī hai
shāh-zādī tire dīdār kī ḳhvāhish ham ko
daf.atan khīñch ke yalġhār meñ le aatī hai
mujh ko kirdār se nafrat hai kahānī se nahīñ
par kahānī mujhe kirdār meñ le aatī hai
muflisi husn ko bazar mein le aati hai
'mir' jaison ko bhi darbar mein le aati hai
ishq baaton mein teri hum nahin aane wale
ek KHata KHuld se sansar mein le aati hai
shah-zadi tere didar ki KHwahish hum ko
dafatan khinch ke yalghaar mein le aati hai
mujh ko kirdar se nafrat hai kahani se nahin
par kahani mujhe kirdar mein le aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.