muft kab aazad karti hai giraftari mujhe
muft kab āzād kartī hai giraftārī mujhe
jī hai āḳhir le ke chhoḌegī ye bīmārī mujhe
kab havas hai mujh ko rusvā.ī kī lekin kyā karūñ
khīñch kar laatī hai is kūche meñ lāchārī mujhe
maiñ jo bin ġham-ḳhvār hargiz jī na saktā thā kabhū
in dinoñ karnī paḌī hai dil kī ġham-ḳhvārī mujhe
ishq ke fan se abhī mujh ko kahāñ hai ittilā.a
kuchh nahīñ aatā baġhair az nāla-o-zārī mujhe
kyā lagā letā hai ḳhūbāñ ko 'yaqīñ' kartī hai daaġh
aa.ine kī sāda-lauhī saath purkārī mujhe
muft kab aazad karti hai giraftari mujhe
ji hai aaKHir le ke chhoDegi ye bimari mujhe
kab hawas hai mujh ko ruswai ki lekin kya karun
khinch kar lati hai is kuche mein lachaari mujhe
main jo bin gham-KHwar hargiz ji na sakta tha kabhu
in dinon karni paDi hai dil ki gham-KHwari mujhe
ishq ke fan se abhi mujh ko kahan hai ittilaa
kuchh nahin aata baghair az nala-o-zari mujhe
kya laga leta hai KHuban ko 'yaqin' karti hai dagh
aaine ki sada-lauhi sath purkari mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.