muft mein toD ke rakh di meri tauba tu ne
muft meñ toḌ ke rakh dī mirī tauba tū ne
kaam patthar kā kiyā shīsha-sahbā tū ne
maiñ ne kī jāma-darī aur unheñ shikva hai
kar diyā chaak mire husn kā pardā tū ne
kis qadar hosh-rubā hai nigah-e-mast tirī
us ko dekhā na sambhalte jise dekhā tū ne
tū nigāhoñ meñ tasavvur meñ jigar meñ dil meñ
fā.eda kyā jo kiyā aañkh se pardā tū ne
ham na kahte the nahīñ tāqat-e-dīdār 'jalīl'
kyā huā jalva-gah-e-nāz meñ dekhā tū ne
muft mein toD ke rakh di meri tauba tu ne
kaam patthar ka kiya shisha-sahba tu ne
main ne ki jama-dari aur unhen shikwa hai
kar diya chaak mere husn ka parda tu ne
kis qadar hosh-ruba hai nigah-e-mast teri
us ko dekha na sambhalte jise dekha tu ne
tu nigahon mein tasawwur mein jigar mein dil mein
faeda kya jo kiya aankh se parda tu ne
hum na kahte the nahin taqat-e-didar 'jalil'
kya hua jalwa-gah-e-naz mein dekha tu ne
- Book : Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 282)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.