mughaalta hai uruj-o-zawal thoDi hai
muġhālta hai urūj-o-zavāl thoḌī hai
hamārī aañkh ke shīshe meñ baal thoḌī hai
hamāre dil meñ kabūtar namāz paḌhte haiñ
hamāre dil meñ ta.assub kā jaal thoḌī hai
labāda barf kā oḌhe hue hai jvālā-mukhī
zamīñ ke laave meñ ab ke ubaal thoḌī hai
haiñ ham husainī hameñ sar kaTānā aatā hai
hamāre paas yazīdāna-chāl thoḌī hai
mire habīb kī tamsīl DhūñDne vaalo
vo be-misāl hai us kī misāl thoḌī hai
har ek shāḳh se jaaḌe kī barf lipTī hai
abhī daraḳht pe pattoñ kī shaal thoḌī hai
ba-roz-e-īd bhī roze ke jaisī hālat hai
amīr-e-shahr se lekin savāl thoḌī hai
kamāl jitnā bhī hai aag ke badan meñ hai
dhuāñ dhuāñ hai dhueñ meñ kamāl thoḌī hai
azal se chāñd meñ charḳha chalā rahī hai magar
'navāz' ab bhī vo buḌhiyā niDhāl thoḌī hai
mughaalta hai uruj-o-zawal thoDi hai
hamari aankh ke shishe mein baal thoDi hai
hamare dil mein kabutar namaz paDhte hain
hamare dil mein tassub ka jal thoDi hai
labaada barf ka oDhe hue hai jwala-mukhi
zamin ke lawe mein ab ke ubaal thoDi hai
hain hum husaini hamein sar kaTana aata hai
hamare pas yazidana-chaal thoDi hai
mere habib ki tamsil DhunDne walo
wo be-misal hai us ki misal thoDi hai
har ek shaKH se jaDe ki barf lipTi hai
abhi daraKHt pe patton ki shaal thoDi hai
ba-roz-e-id bhi roze ke jaisi haalat hai
amir-e-shahr se lekin sawal thoDi hai
kamal jitna bhi hai aag ke badan mein hai
dhuan dhuan hai dhuen mein kamal thoDi hai
azal se chand mein charKHa chala rahi hai magar
'nawaz' ab bhi wo buDhiya niDhaal thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.