muhib raat ke gunjaan paniyon se nikal
muhīb raat ke gunjān pāniyoñ se nikal
na.ī sahar ke sitāre tū chimniyoñ se nikal
har ek had se pare apnā boriyā le jā
badī kā naam na le aur nekiyoñ se nikal
ai mere mehr tū us kī chhatoñ pe āḳhir ho
ai mere maah tū aaj us kī khiḌkiyoñ se nikal
nikal ke dekh tirī muntazir qatār qatār
aziiz dāna-e-gandum tū boriyoñ se nikal
tū merī nazm ke asrār meñ huvaidā ho
tū mere kashf kī nādīda ghāTiyoñ se nikal
ai pichhlī umr idhar sūkhī pattiyoñ meñ aa
ai agle saal bujhī mom-battiyoñ se nikal
muhib raat ke gunjaan paniyon se nikal
nai sahar ke sitare tu chimniyon se nikal
har ek had se pare apna boriya le ja
badi ka nam na le aur nekiyon se nikal
ai mere mehr tu us ki chhaton pe aaKHir ho
ai mere mah tu aaj us ki khiDkiyon se nikal
nikal ke dekh teri muntazir qatar qatar
aziz dana-e-gandum tu boriyon se nikal
tu meri nazm ke asrar mein huwaida ho
tu mere kashf ki nadida ghaTiyon se nikal
ai pichhli umr idhar sukhi pattiyon mein aa
ai agle sal bujhi mom-battiyon se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.