Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujassam dagh-e-hasrat hun sarapa naqsh-e-ibrat ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

mujassam dagh-e-hasrat hun sarapa naqsh-e-ibrat ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    mujassam dāġh-e-hasrat huuñ sarāpā naqsh-e-ibrat

    mujhe dekho ki hotā hai yahī anjām ulfat

    unheñ shauq-e-dil-āzārī hameñ zauq-e-vafādārī

    ḳhudā-hāfiz hai ab apne kishor-e-kār-e-ulfat

    visāl-e-yār ai dil koī pur-zor koshish kar

    havā-e-āh se parda uThā de shām-e-furqat

    dil-e-pur-shauq ne Daalā hai mujh ko kis kashākash meñ

    idhar hai had be-sabrī udhar vā'da qayāmat

    tum aise be-ḳhabar bhī shaaz hoñge is zamāne meñ

    ki dil meñ rah ke andāza nahīñ hai dil hālat

    jahāñ meñ chaar din rah kar faqat bū-e-vafā denā

    guloñ se maiñ sabaq letā huuñ ā.īn-e-sohbat

    lagā rakhtā hai us nazr ko chashm-e-tamannā ne

    vo ik aañsū ki majmū'a hai saarī dil tāqat

    mirī qudrat se ab iḳhfā-e-rāz-e-ishq bāhar hai

    ki rang aane lagā hai āñsuoñ meñ ḳhūn-e-hasrat

    ik āh-e-sard bhar letā huuñ jab tum yaad aate ho

    ḳhulāsa kis qadar maiñ ne kiyā hai ranj-e-furqat

    vo dil hai bazm-e-ālam meñ 'nazar' ik sāz-e-bashkasta

    na chheḌe tār-e-hastī par jo naġhma us qudrat

    mujassam dagh-e-hasrat hun sarapa naqsh-e-ibrat ka

    mujhe dekho ki hota hai yahi anjam ulfat ka

    unhen shauq-e-dil-azari hamein zauq-e-wafadari

    KHuda-hafiz hai ab apne kishor-e-kar-e-ulfat ka

    visal-e-yar ki ai dil koi pur-zor koshish kar

    hawa-e-ah se parda uTha de sham-e-furqat ka

    dil-e-pur-shauq ne Dala hai mujh ko kis kashakash mein

    idhar hai had ki be-sabri udhar wa'da qayamat ka

    tum aise be-KHabar bhi shaz honge is zamane mein

    ki dil mein rah ke andaza nahin hai dil ki haalat ka

    jahan mein chaar din rah kar faqat bu-e-wafa dena

    gulon se main sabaq leta hun aain-e-sohbat ka

    laga rakhta hai us ki nazr ko chashm-e-tamanna ne

    wo ek aansu ki majmu'a hai sari dil ki taqat ka

    meri qudrat se ab iKHfa-e-raaz-e-ishq bahar hai

    ki rang aane laga hai aansuon mein KHun-e-hasrat ka

    ek aah-e-sard bhar leta hun jab tum yaad aate ho

    KHulasa kis qadar main ne kiya hai ranj-e-furqat ka

    wo dil hai bazm-e-alam mein 'nazar' ek saz-e-bashkasta

    na chheDe tar-e-hasti par jo naghma us ki qudrat ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now