mujh balā-nosh ko talchhaT bhī hai kaafī saaqī
bhar de chullū meñ jo ho shīshe meñ baaqī saaqī
bhar ke pilvātā nahīñ ek piyālī saaqī
saarī maiñ māñgtā huuñ detā hai aadhī saaqī
tū ne kyā ātish-e-hal-karda pilā dī saaqī
bhuun Daalā hai jigar aag lagā dī saaqī
phuul māñgūñ to pilātā hai barāñDī saaqī
kartā hai bazm-e-guzishta kī talāfī saaqī
jām-e-jam chāhiye rindoñ ko na shāhī saaqī
saltanat hai tire kūche kī gadā.ī saaqī
jaam auroñ ko diye mujh ko piyālī saaqī
ḳhud bahakne lagā mānind-e-sharābī saaqī
kyā karūñ pī ke bhalā ek piyālī saaqī
is tunuk-zarfī kā banda nahīñ aadī saaqī
kab se kahtā huuñ balā-nosh maiñ saaqī saaqī
aur pilvā de jo ho shīshe meñ baaqī saaqī
maraz-e-hijr meñ mai garche muzir hai lekin
maiñ to pī jaatā huuñ allāh hai saaqī saaqī
sub.h se shaam talak haath se chhuTtā nahīñ jaam
chāhiye apnā taḳhallus kare jaamī saaqī
maslahat hogī jo mahrūm rakhā mai se mujhe
fel hikmat se nahīñ hai tirā ḳhālī saaqī
mast kyā jāneñ kidhar dair hai ka.aba hai kahāñ
umr saarī tirī bhaTTī meñ guzārī saaqī
masjid o dair o kalīsā kī vo raunaq na rahī
tū ne buniyād jo mai-ḳhāne kī Daalī saaqī
dekhiye sohbat-e-nā-jins nibhegī kyūñ-kar
past-himmat tū tabī.at mirī aalī saaqī
fasl-e-gul aa chukī kyā duur se dahkātā hai
mai-e-gul-rañg se bhar bhar ke gulābī saaqī
vā.izo vohī karūñgā maiñ jo fatvā degā
qibla-o-kāba o murshid mirā haadī saaqī
shīsha-o-jām o subū hoñge abhī chaknāchūr
mast bahke to baḌī hogī ḳharābī saaqī
koī aafat tire mai-ḳhāne pe aa saktī hai
sab duā-go haiñ ye jitne haiñ sharābī saaqī
sirf lillāh bhī mai-ḳhāne meñ jaarī kar de
muqtazī ho jo tirī himmat-e-ālī saaqī
tañg ho kar tire har baar ke dahkāne se
kos baiThe na koī riñd-e-sharābī saaqī
jo piyegā na sharāb aaj vo mujrim hogā
kū-ba-kū kal se tū kar de ye munādī saaqī
dard bhī mujh ko pilā degā tū bad-mastī meñ
sab sunā dūñgā maiñ dīvān-e-zulālī saaqī
barf pilvā ke kaleja mirā ThanDā kar de
āb-e-añgūr ne to aag lagā dī saaqī
terā jī chāhe to pilvā de koī jām-e-sharāb
haath phailāne kā banda nahīñ aadī saaqī
nafs-e-garm kī tāsīr ne mai sāġhar se
sho.ala-e-lafz ke mānind uḌā dī saaqī
aur to hasrateñ sab 'rind' ke dil se niklīñ
jām-e-kausar kī tamannā rahī baaqī saaqī
mujh bala-nosh ko talchhaT bhi hai kafi saqi
bhar de chullu mein jo ho shishe mein baqi saqi
bhar ke pilwata nahin ek piyali saqi
sari main mangta hun deta hai aadhi saqi
tu ne kya aatish-e-hal-karda pila di saqi
bhun Dala hai jigar aag laga di saqi
phul mangun to pilata hai baranDi saqi
karta hai bazm-e-guzishta ki talafi saqi
jam-e-jam chahiye rindon ko na shahi saqi
saltanat hai tere kuche ki gadai saqi
jam auron ko diye mujh ko piyali saqi
KHud bahakne laga manind-e-sharabi saqi
kya karun pi ke bhala ek piyali saqi
is tunuk-zarfi ka banda nahin aadi saqi
kab se kahta hun bala-nosh main saqi saqi
aur pilwa de jo ho shishe mein baqi saqi
maraz-e-hijr mein mai garche muzir hai lekin
main to pi jata hun allah hai saqi saqi
subh se sham talak hath se chhuTta nahin jam
chahiye apna taKHallus kare jami saqi
maslahat hogi jo mahrum rakha mai se mujhe
fel hikmat se nahin hai tera KHali saqi
mast kya jaanen kidhar dair hai kaba hai kahan
umr sari teri bhaTTi mein guzari saqi
masjid o dair o kalisa ki wo raunaq na rahi
tu ne buniyaad jo mai-KHane ki Dali saqi
dekhiye sohbat-e-na-jins nibhegi kyun-kar
past-himmat tu tabiat meri aali saqi
fasl-e-gul aa chuki kya dur se dahkata hai
mai-e-gul-rang se bhar bhar ke gulabi saqi
waizo wohi karunga main jo fatwa dega
qibla-o-kaba o murshid mera hadi saqi
shisha-o-jam o subu honge abhi chaknachur
mast bahke to baDi hogi KHarabi saqi
koi aafat tere mai-KHane pe aa sakti hai
sab dua-go hain ye jitne hain sharabi saqi
sirf lillah bhi mai-KHane mein jari kar de
muqtazi ho jo teri himmat-e-ali saqi
tang ho kar tere har bar ke dahkane se
kos baiThe na koi rind-e-sharabi saqi
jo piyega na sharab aaj wo mujrim hoga
ku-ba-ku kal se tu kar de ye munadi saqi
dard bhi mujh ko pila dega tu bad-masti mein
sab suna dunga main diwan-e-zulali saqi
barf pilwa ke kaleja mera ThanDa kar de
aab-e-angur ne to aag laga di saqi
tera ji chahe to pilwa de koi jam-e-sharab
hath phailane ka banda nahin aadi saqi
nafs-e-garm ki tasir ne mai saghar se
shoala-e-lafz ke manind uDa di saqi
aur to hasraten sab 'rind' ke dil se niklin
jam-e-kausar ki tamanna rahi baqi saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.