mujhko afsos hai bas isi baat ka
mujh ko afsos hai bas isī baat kā
kar na paayā maiñ iz.hār jazbāt kā
un se milne kī ḳhvāhish hai dil meñ mire
DhūñDhtā huuñ bahānā mulāqāt kā
uljhanoñ se ulajh jaao be-ḳhauf ab
sāmnā kījiye DaT ke hālāt kā
raat bhar ik qalandar ke hujre meñ rind
tazkira kar rahe the mirī zaat kā
kaise behtar banegī mirī zindagī
tajraba kar rahā huuñ maiñ is baat kā
us kī fitrat meñ 'ahmad' nahīñ hai vafā
hai mujhe bhī pata us kī auqāt kā
mujh ko afsos hai bas isi baat ka
kar na paya main izhaar jazbaat ka
un se milne ki KHwahish hai dil mein mere
DhunDhta hun bahana mulaqat ka
uljhanon se ulajh jao be-KHauf ab
samna kijiye DaT ke haalat ka
raat bhar ek qalandar ke hujre mein rind
tazkira kar rahe the meri zat ka
kaise behtar banegi meri zindagi
tajraba kar raha hun main is baat ka
us ki fitrat mein 'ahmad' nahin hai wafa
hai mujhe bhi pata us ki auqat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.