mujhko gahrai mein miTTi ki utar jaana hai
mujh ko gahrā.ī meñ miTTī kī utar jaanā hai
zindagī bāñdh le sāmān-e-safar jaanā hai
ghar kī dahlīz pe raushan haiñ vo bujhtī āñkheñ
mujh ko mat rok mujhe lauT ke ghar jaanā hai
maiñ vo mele meñ bhaTaktā huā ik bachcha huuñ
jis ke maañ baap ko rote hue mar jaanā hai
zindagī taash ke pattoñ kī tarah hai merī
aur pattoñ ko bahar-hāl bikhar jaanā hai
ek be-nām se rishte kī tamannā le kar
is kabūtar ko kisī chhat pe utar jaanā hai
mujh ko gahrai mein miTTi ki utar jaana hai
zindagi bandh le saman-e-safar jaana hai
ghar ki dahliz pe raushan hain wo bujhti aankhen
mujh ko mat rok mujhe lauT ke ghar jaana hai
main wo mele mein bhaTakta hua ek bachcha hun
jis ke man bap ko rote hue mar jaana hai
zindagi tash ke patton ki tarah hai meri
aur patton ko bahar-haal bikhar jaana hai
ek be-nam se rishte ki tamanna le kar
is kabutar ko kisi chhat pe utar jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.