mujhko hoti thi aagahi tanha
mujh ko hotī thī āgahī tanhā
ki añdhere meñ raushnī tanhā
sahn meñ mātamī libāde haiñ
laash kamre meñ hai paḌī tanhā
shahr ke biich lag gayā katba
jal ga.ī ek jhoñpḌī tanhā
us ko tanhā.ī maar Dālegī
rah gayā jo bhī aadmī tanhā
bārishoñ meñ vo kheltī laḌkī
aaj ziine pe ro paḌī tanhā
surḳh āñkheñ batā rahīñ 'ārib'
raat vo jāgtī rahī tanhā
mujh ko hoti thi aagahi tanha
ki andhere mein raushni tanha
sahn mein matami libaade hain
lash kamre mein hai paDi tanha
shahr ke bich lag gaya katba
jal gai ek jhonpDi tanha
us ko tanhai mar Dalegi
rah gaya jo bhi aadmi tanha
barishon mein wo khelti laDki
aaj zine pe ro paDi tanha
surKH aankhen bata rahin 'arib'
raat wo jagti rahi tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.