mujhko is moD par chhoD jaane ke baad
mujh ko is moḌ par chhoḌ jaane ke baad
kyā milegā tujhe dil dukhāne ke ba.ad
chehre ahbāb ke phir utarne lage
jab hañse ham kabhī ġham chhupāne ke baad
rizq ke vāste ghar se niklā thā maiñ
dil masarrat meñ hai kuchh kamāne ke baad
zindagī kī haqīqat samajh aa ga.ī
bārishoñ meñ patañgeñ uḌāne ke baad
dekh le jā ke tārīḳh-e-karb-o-balā
aur ūñchā huā sar kaTāne ke baad
aisā bikhrā huā hai tirā 'faiz' ab
jaise shīsha koī TuuT jaane ke baad
mujh ko is moD par chhoD jaane ke baad
kya milega tujhe dil dukhane ke baad
chehre ahbab ke phir utarne lage
jab hanse hum kabhi gham chhupane ke baad
rizq ke waste ghar se nikla tha main
dil masarrat mein hai kuchh kamane ke baad
zindagi ki haqiqat samajh aa gai
barishon mein patangen uDane ke baad
dekh le ja ke tariKH-e-karb-o-bala
aur uncha hua sar kaTane ke baad
aisa bikhra hua hai tera 'faiz' ab
jaise shisha koi TuT jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.