mujhko is taur tujhko pana hai
mujh ko is taur tujh ko paanā hai
jaise tū husn kā ḳhazāna hai
pahle zid thī ke chhūnā hai us ko
ab ye zid hai ki us ko paanā hai
us ke hoñThoñ ko paḌh rahā huuñ maiñ
jis ke hoñToñ talak hī jaanā hai
aa gayā huuñ maiñ tere hoñToñ tak
tujh ko bāhoñ talak hī aanā hai
terī gardan ke pīchhe til hai jo
us ko hoñToñ se bas lagānā hai
us kī shādī hai ġhair se 'āqib'
us ko ghar se uThā ke laanā hai
mujh ko is taur tujh ko pana hai
jaise tu husn ka KHazana hai
pahle zid thi ke chhuna hai us ko
ab ye zid hai ki us ko pana hai
us ke honThon ko paDh raha hun main
jis ke honTon talak hi jaana hai
aa gaya hun main tere honTon tak
tujh ko bahon talak hi aana hai
teri gardan ke pichhe til hai jo
us ko honTon se bas lagana hai
us ki shadi hai ghair se 'aqib'
us ko ghar se uTha ke lana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.