mujhko jo tum se hua wo pyar bhi ujlat mein tha
mujh ko jo tum se huā vo pyaar bhī ujlat meñ thā
pyaar kyā is pyaar kā iz.hār bhī ujlat meñ thā
ik payambar ko kiyā nīlām kuchh soche baġhair
kis qadar vo misr kā bāzār bhī ujlat meñ thā
dauḌte ūñToñ se girte rāhiyoñ ko chhoḌ kar
qāfila aur qāfila sālār bhī ujlat meñ thā
hai milī mujh ko sazā-e-zīst to bas is liye
munsifī ujlat meñ pairavkār bhī ujlat meñ thā
din abhī niklā nahīñ aur be-ḳhatar vo so gayā
us galī kā sust pahre-dār bhī ujlat meñ thā
thā vo ujlat meñ jise karnā thā din bhar kaam aur
ghar meñ bistar par paḌā be-kār bhī ujlat meñ thā
phuul ko chheḌā nahīñ aur 'qais' zaḳhmī ho gayā
munsalik us shāḳh se ik ḳhaar bhī ujlat meñ thā
mujh ko jo tum se hua wo pyar bhi ujlat mein tha
pyar kya is pyar ka izhaar bhi ujlat mein tha
ek payambar ko kiya nilam kuchh soche baghair
kis qadar wo misr ka bazar bhi ujlat mein tha
dauDte unTon se girte rahiyon ko chhoD kar
qafila aur qafila salar bhi ujlat mein tha
hai mili mujh ko saza-e-zist to bas is liye
munsifi ujlat mein pairawkar bhi ujlat mein tha
din abhi nikla nahin aur be-KHatar wo so gaya
us gali ka sust pahre-dar bhi ujlat mein tha
tha wo ujlat mein jise karna tha din bhar kaam aur
ghar mein bistar par paDa be-kar bhi ujlat mein tha
phul ko chheDa nahin aur 'qais' zaKHmi ho gaya
munsalik us shaKH se ek KHar bhi ujlat mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.