mujhko kya faeda gar koi raha mere baad
mujh ko kyā fā.eda gar koī rahā mere ba.ad
saarī maḳhlūq balā se ho fanā mere ba.ad
mar chukā maiñ to nahīñ us se mujhe kuchh hāsil
barse gar paanī kī jā āb-e-baqā mere ba.ad
chāhne vāloñ kā kartā hai zamāna mātam
mātamī rañg meñ hai zulf-e-rasā mere ba.ad
ro.eñge mujh ko mire dost sab aaTh aaTh aañsū
barsegī qabr pe ghanghor ghaTā mere ba.ad
yuuñ hī khiltī raheñgī sehn-e-chaman meñ kaliyāñ
yūñhī chaltī rahegī bād-e-sabā mere ba.ad
jaan dene ko na un par koī tayyār huā
goyā jāñ-bāz zamāne meñ na thā mere ba.ad
haath se un ke Tapakte nahīñ mai ke qatre
ashk-e-ḳhūñ rotā hai ye rañg-e-hinā mere ba.ad
hashr tak koī na rokegā sitam-gāroñ ko
jo ḳhudā pahle thā vo hī hai ḳhudā mere ba.ad
jīte-jī dete the jo gāliyāñ mujh ko 'parvīñ'
maġhfirat ke liye karte haiñ duā mere ba.ad
mujh ko kya faeda gar koi raha mere baad
sari maKHluq bala se ho fana mere baad
mar chuka main to nahin us se mujhe kuchh hasil
barse gar pani ki ja aab-e-baqa mere baad
chahne walon ka karta hai zamana matam
matami rang mein hai zulf-e-rasa mere baad
roenge mujh ko mere dost sab aaTh aaTh aansu
barsegi qabr pe ghanghor ghaTa mere baad
yun hi khilti rahengi sehn-e-chaman mein kaliyan
yunhi chalti rahegi baad-e-saba mere baad
jaan dene ko na un par koi tayyar hua
goya jaan-baz zamane mein na tha mere baad
hath se un ke Tapakte nahin mai ke qatre
ashk-e-KHun rota hai ye rang-e-hina mere baad
hashr tak koi na rokega sitam-garon ko
jo KHuda pahle tha wo hi hai KHuda mere baad
jite-ji dete the jo galiyan mujh ko 'parwin'
maghfirat ke liye karte hain dua mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.