mujhko prem kahani kar do
mujh ko prem kahānī kar do
miirā sī dīvānī kar do
murlī kī ik taan sunā kar
rādhā ko mastānī kar do
aaj to jaane kī zid chhoḌo
aaj to shaam suhānī kar do
hijr kā din kyuuñ chaḌhne paa.e
vasl kī shab tūlānī kar do
baaqī raat bhī jāgte guzre
lambī raam kahānī kar do
amrit ras kā meñh barsā kar
saare manzar dhānī kar do
pyāsī dhartī ye kahtī hai
khet haiñ sūkhe paanī kar do
aisā rañg lagāo 'hasrat'
duniyā se begānī kar do
mujh ko prem kahani kar do
mera si diwani kar do
murli ki ek tan suna kar
radha ko mastani kar do
aaj to jaane ki zid chhoDo
aaj to sham suhani kar do
hijr ka din kyun chaDhne pae
wasl ki shab tulani kar do
baqi raat bhi jagte guzre
lambi ram kahani kar do
amrit ras ka meinh barsa kar
sare manzar dhani kar do
pyasi dharti ye kahti hai
khet hain sukhe pani kar do
aisa rang lagao 'hasrat'
duniya se begani kar do
- Book : Tanveer-e-Fan (Pg. 64)
- Author : Compiled by Dr. Keval Dheer, Mitr Nikodari,Author Ajeet Singh 'Hasrat'
- Publication : Dr. Bhajan Singh, 189 Model Gram, Ludhiana-02 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.