mujhko rukna paD jata hai
mujh ko ruknā paḌ jaatā hai
rasta chhoTā paḌ jaatā hai
maiñ bahtā dariyā huuñ lekin
biich meñ sahrā paḌ jaatā hai
raushan chehra zulf ghanerī
sūraj kaalā paḌ jaatā hai
dil par koī qarz na rakhnā
suud chukānā paḌ jaatā hai
raat bahut tārīk agar ho
ḳhvāb jagānā paḌ jaatā hai
darvāze ko band na rakhnā
ghar meñ jaalā paḌ jaatā hai
mujh ko rukna paD jata hai
rasta chhoTa paD jata hai
main bahta dariya hun lekin
bich mein sahra paD jata hai
raushan chehra zulf ghaneri
suraj kala paD jata hai
dil par koi qarz na rakhna
sud chukana paD jata hai
raat bahut tarik agar ho
KHwab jagana paD jata hai
darwaze ko band na rakhna
ghar mein jala paD jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.