mujhko ta-umr taDapne ki saza hi dena
mujh ko tā-'umr taḌapne kī sazā hī denā
tujh ko manzūr agar ho to bhulā hī denā
ai ġham-e-hijr vo tohmat jo lagā.e mujh par
merī be-laus mohabbat kī gavāhī denā
ye alag baat ki ho jā.ūñ mohabbat meñ tabāh
tū na mujh ko kabhī ehsās-e-tabāhī denā
vo jo majbūr kareñ sharh-e-ġham-e-furqat ko
ashk-āmez nigāhoñ se sunā hī denā
un ke dāman ko mah-o-mehr se karnā ma'amūr
mere hisse meñ jahāñ bhar kī siyāhī denā
vo javāñ ke kahīñ fitna-e-daurāñ na bane
husn ko fitrat-e-ma.ashūq-nigāhī denā
aaj bhī yaad hai ai dost ināyat terī
vo tirā itnā hañsānā ki rulā hī denā
mere har sher meñ rūdād-e-sitam hai un kī
ai 'zafar' merī ġhazal un ko sunā hī denā
mujh ko ta-'umr taDapne ki saza hi dena
tujh ko manzur agar ho to bhula hi dena
ai gham-e-hijr wo tohmat jo lagae mujh par
meri be-laus mohabbat ki gawahi dena
ye alag baat ki ho jaun mohabbat mein tabah
tu na mujh ko kabhi ehsas-e-tabahi dena
wo jo majbur karen sharh-e-gham-e-furqat ko
ashk-amez nigahon se suna hi dena
un ke daman ko mah-o-mehr se karna ma'amur
mere hisse mein jahan bhar ki siyahi dena
wo jawan ke kahin fitna-e-dauran na bane
husn ko fitrat-e-mashuq-nigahi dena
aaj bhi yaad hai ai dost inayat teri
wo tera itna hansana ki rula hi dena
mere har sher mein rudad-e-sitam hai un ki
ai 'zafar' meri ghazal un ko suna hi dena
- Book : Tez Hawa ke Jhonke (Pg. 25)
- Author : Zafar Ansari Zafar
- Publication : Maktaba Jamia , Jamia Nagar, New Delhi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.