mujhko tujhse jo kuchh mohabbat hai
mujh ko tujh se jo kuchh mohabbat hai
ye mohabbat nahīñ hai aafat hai
log kahte haiñ āshiqī jis ko
maiñ jo dekhā baḌī musībat hai
band ahkām-e-aql meñ rahnā
ye bhī ik naua kī himāqat hai
ek īmān hai bisāt apnī
na ibādat na kuchh riyāzat hai
aa phañsūñ maiñ butoñ ke daam meñ yuuñ
'dard' ye bhī ḳhudā kī qudrat hai
mujh ko tujh se jo kuchh mohabbat hai
ye mohabbat nahin hai aafat hai
log kahte hain aashiqi jis ko
main jo dekha baDi musibat hai
band ahkaam-e-aql mein rahna
ye bhi ek naua ki himaqat hai
ek iman hai bisat apni
na ibaadat na kuchh riyazat hai
aa phansun main buton ke dam mein yun
'dard' ye bhi KHuda ki qudrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.