mujhko tum se nahin gila koi
mujh ko tum se nahīñ gila koī
dard-e-dil kī bhī hai davā koī
kyā sunā.ūñ maiñ qissa-e-shab-e-ġham
ibtidā hai na intihā koī
ittifāqāt haiñ zamāne ke
terī mahfil se uTh gayā koī
zaḳhm-e-dil muskurā uThā āḳhir
dil se naala nikal paḌā koī
rāh-e-shauq-e-talab meñ ai hamdam
DhūñD hargiz na naqsh-e-pā koī
justujū hai to un kī manzil kā
mil hī jā.egā rāsta koī
muskurā.ūñ maiñ kis tarah 'sābir'
chārāgar hī nahīñ rahā koī
mujh ko tum se nahin gila koi
dard-e-dil ki bhi hai dawa koi
kya sunaun main qissa-e-shab-e-gham
ibtida hai na intiha koi
ittifaqat hain zamane ke
teri mahfil se uTh gaya koi
zaKHm-e-dil muskura uTha aaKHir
dil se nala nikal paDa koi
rah-e-shauq-e-talab mein ai hamdam
DhunD hargiz na naqsh-e-pa koi
justuju hai to un ki manzil ka
mil hi jaega rasta koi
muskuraun main kis tarah 'sabir'
chaaragar hi nahin raha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.