mujhko wahshat hui mere ghar se
mujh ko vahshat huī mire ghar se
raat terī judā.ī ke Dar se
terī furqat kā habs thā andar
aur dam ghuT rahā thā bāhar se
jism kī aag bujh ga.ī lekin
phir nadāmat ke ashk bhī barse
ek muddat se haiñ safar meñ ham
ghar meñ rah kar bhī jaise beghar se
bār-hā terī justujū meñ ham
tujh se milne ke ba.ad bhī tarse
mujh ko wahshat hui mere ghar se
raat teri judai ke Dar se
teri furqat ka habs tha andar
aur dam ghuT raha tha bahar se
jism ki aag bujh gai lekin
phir nadamat ke ashk bhi barse
ek muddat se hain safar mein hum
ghar mein rah kar bhi jaise beghar se
bar-ha teri justuju mein hum
tujh se milne ke baad bhi tarse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.