mujhko viran si raaton mein jagane wale
mujh ko vīrān sī rātoñ meñ jagāne vaale
luuT le jaan mirī mujh ko satāne vaale
saarī ābādī ko ye aag jalā Dālegī
apnī bātoñ se mire dil ko jalāne vaale
aa kabhī dekh to is ghar meñ akele rah kar
merī har baat ko bātoñ meñ uḌāne vaale
merī āñkhoñ ne hamesha tujhe rāhat dī hai
inhī āñkhoñ ko har ik lamha rulāne vaale
tere lahje se kabhī phuul jhaḌā karte the
apnī bātoñ se mire dil ko jalāne vaale
mujh ko viran si raaton mein jagane wale
luT le jaan meri mujh ko satane wale
sari aabaadi ko ye aag jala Dalegi
apni baaton se mere dil ko jalane wale
aa kabhi dekh to is ghar mein akele rah kar
meri har baat ko baaton mein uDane wale
meri aankhon ne hamesha tujhe rahat di hai
inhi aankhon ko har ek lamha rulane wale
tere lahje se kabhi phul jhaDa karte the
apni baaton se mere dil ko jalane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.