mujh mein KHushbu basi usi ki hai
mujh meñ ḳhushbū basī usī kī hai
jaise ye zindagī usī kī hai
vo kahīñ ās-pās hai maujūd
hū-ba-hū ye hañsī usī kī hai
ḳhud maiñ apnā dukhā rahā huuñ dil
is meñ lekin ḳhushī usī kī hai
ya.anī koī kamī nahīñ mujh meñ
ya.anī mujh meñ kamī usī kī hai
kyā mire ḳhvāb bhī nahīñ mere
kyā mirī niiñd bhī usī kī hai
mujh mein KHushbu basi usi ki hai
jaise ye zindagi usi ki hai
wo kahin aas-pas hai maujud
hu-ba-hu ye hansi usi ki hai
KHud main apna dukha raha hun dil
is mein lekin KHushi usi ki hai
yani koi kami nahin mujh mein
yani mujh mein kami usi ki hai
kya mere KHwab bhi nahin mere
kya meri nind bhi usi ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.