mujh mein paiwast ho chuki ho tum
mujh meñ paivast ho chukī ho tum
mere andar kī ḳhāmushī ho tum
kyā faqat shauq rah gayā huuñ maiñ
kis tarah baat kar rahī ho tum
ḳhaas ye hai ke maiñ nahīñ badla
aur dilchasp ke vahī ho tum
itnā andāza-e-safar hai mujhe
āḳhirī moḌ pe khaḌī ho tum
kis qadar chīḳhne lagā huuñ maiñ
kitnī ḳhāmosh ho ga.ī ho tum
ḳhvāb meñ kyā dikhā.ī paḌtā hai
kis ke kāñdhe pe so rahī ho tum
ek dhakkā sā lag gayā hai mujhe
sun liyā hai ke ro rahī ho tum
mujh mein paiwast ho chuki ho tum
mere andar ki KHamushi ho tum
kya faqat shauq rah gaya hun main
kis tarah baat kar rahi ho tum
KHas ye hai ke main nahin badla
aur dilchasp ke wahi ho tum
itna andaza-e-safar hai mujhe
aaKHiri moD pe khaDi ho tum
kis qadar chiKHne laga hun main
kitni KHamosh ho gai ho tum
KHwab mein kya dikhai paDta hai
kis ke kandhe pe so rahi ho tum
ek dhakka sa lag gaya hai mujhe
sun liya hai ke ro rahi ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.