mujh mein se rafta rafta ghaTata raha mujhe
mujh mein se rafta rafta ghaTata raha mujhe
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
mujh meñ se rafta rafta ghaTātā rahā mujhe
vo thoḌā thoḌā roz churātā rahā mujhe
mere paroñ meñ merī zamīñ bāñdhne ke ba.ad
vo apnī kahkashāñ meñ bulātā rahā mujhe
har raat āñsuoñ se bhigoyā mirā badan
har sub.h dhuup de ke sukhātā rahā mujhe
cigarette piitā maiñ bhī laboñ se lagā rahā
vo bhī dhuāñ banā ke uḌātā rahā mujhe
us ko thī dhun ki mujh ko banā.egā vo gulāb
kāñToñ ke biich roz sajātā rahā mujhe
paanī kī tarah maiñ bhī thā muft us ke haath meñ
aur vo bhī be-dareġh bahātā rahā mujhe
us ko hī maiñ ne Das liyā ik roz āḳhirash
jo apnī āstīñ meñ chhupātā rahā mujhe
us ke namak se thā mirā paikar banā huā
bārish se is liye vo bachātā rahā mujhe
mujh mein se rafta rafta ghaTata raha mujhe
wo thoDa thoDa roz churaata raha mujhe
mere paron mein meri zamin bandhne ke baad
wo apni kahkashan mein bulata raha mujhe
har raat aansuon se bhigoya mera badan
har subh dhup de ke sukhata raha mujhe
cigarette pita main bhi labon se laga raha
wo bhi dhuan bana ke uData raha mujhe
us ko thi dhun ki mujh ko banaega wo gulab
kanTon ke bich roz sajata raha mujhe
pani ki tarah main bhi tha muft us ke hath mein
aur wo bhi be-daregh bahata raha mujhe
us ko hi main ne Das liya ek roz aaKHirash
jo apni aastin mein chhupata raha mujhe
us ke namak se tha mera paikar bana hua
barish se is liye wo bachata raha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.