mujh par aisi jafa ki kasrat ki
mujh par aisī jafā kī kasrat kī
ki use ġhair ne malāmat kī
tum ko apne ḳhirām se matlab
Thokareñ khaa.e koī qismat kī
va.ada-e-vasl-e-sub.h us se karo
kaT sake jis se raat furqat kī
apnī bedād ko nahīñ kahte
merī fariyād kī shikāyat kī
ab kahāñ huur ḳhuld meñ vaa.iz
tū ne barbād yuuñ hī mehnat kī
haiñ jo duniyā kī ye parī-zādeñ
yahī hūreñ baneñgī jannat kī
tark-e-ishq aur maiñ ġhalat 'sālik'
kaun roke zabān ḳhilqat kī
mujh par aisi jafa ki kasrat ki
ki use ghair ne malamat ki
tum ko apne KHiram se matlab
Thokaren khae koi qismat ki
wada-e-wasl-e-subh us se karo
kaT sake jis se raat furqat ki
apni bedad ko nahin kahte
meri fariyaad ki shikayat ki
ab kahan hur KHuld mein waiz
tu ne barbaad yun hi mehnat ki
hain jo duniya ki ye pari-zaden
yahi huren banengi jannat ki
tark-e-ishq aur main ghalat 'salik'
kaun roke zaban KHilqat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.