mujh par junun-e-shauq ka kyun-kar asar ghalat
mujh par junun-e-shauq ka kyun-kar asar ghalat
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
mujh par junūn-e-shauq kā kyūñ-kar asar ġhalat
gar ye ġhalat to raah ġhalat rāhbar ġhalat
nazar aa ga.e vo aap hī dekhā jo aa.ina
samjhe the ishq hī ko marīz-e-nazar ġhalat
vāraftagī-e-shauq sambhalne bhī de mujhe
be-tābiyoñ kā vo na kahīñ leñ asar ġhalat
mat pūchh vo nigāhoñ se kyā kuchh pilā ga.e
ab be-ḳhudī-e-shauq meñ baaqī kasar ġhalat
'fā.iq' gudāz-e-dil hai mohabbat meñ asl shai
ye sail-e-ashk-e-ḳhām ye dāmān-e-tar ġhalat
mujh par junun-e-shauq ka kyun-kar asar ghalat
gar ye ghalat to rah ghalat rahbar ghalat
nazar aa gae wo aap hi dekha jo aaina
samjhe the ishq hi ko mariz-e-nazar ghalat
waraftagi-e-shauq sambhalne bhi de mujhe
be-tabiyon ka wo na kahin len asar ghalat
mat puchh wo nigahon se kya kuchh pila gae
ab be-KHudi-e-shauq mein baqi kasar ghalat
'faiq' gudaz-e-dil hai mohabbat mein asl shai
ye sail-e-ashk-e-KHam ye daman-e-tar ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.