mujh pe ilzam dhar gaya dekho
mujh pe ilzām dhar gayā dekho
aañkh ashkoñ se bhar gayā dekho
koī raushan zamīr thā shāyad
aur añdheroñ meñ mar gayā dekho
jis ne rakkhā thā sar hathelī par
vo bhī duniyā se Dar gayā dekho
dil ko kitnā sambhāl rakkhā thā
us ko DhūñDo kidhar gayā dekho
kis qadar ajnabī sā lagtā hai
baad muddat ke ghar gayā dekho
mujh ko 'dā.em' yaqīn se bichhḌe
ek arsa guzar gayā dekho
mujh pe ilzam dhar gaya dekho
aankh ashkon se bhar gaya dekho
koi raushan zamir tha shayad
aur andheron mein mar gaya dekho
jis ne rakkha tha sar hatheli par
wo bhi duniya se Dar gaya dekho
dil ko kitna sambhaal rakkha tha
us ko DhunDo kidhar gaya dekho
kis qadar ajnabi sa lagta hai
baad muddat ke ghar gaya dekho
mujh ko 'daem' yaqin se bichhDe
ek arsa guzar gaya dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.