mujhse aashiq ke tain mar ke kya pawega
mujhse aashiq ke tain mar ke kya pawega
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
mujh se āshiq ke ta.iiñ maar ke kyā pāvegā
muft badnāmī tujhe hovegī pachhtāvegā
jo tirā āshiq-e-raftār hai juuñ naqsh-e-qadam
tere kūche ke ta.iiñ chhoḌ kahāñ jāvegā
ġhair ke kahne par ai yaar na kahiyo hargiz
ye samajh rakhiyo vo shaitān hai bahkāvegā
dahr meñ tere fareboñ se ai shoḳh ayyār
kam koī hogā na dil jis kā daġhā pāvegā
yaar ko tarz-e-jafā se nahīñ rakhne kā baaz
nāsehā har ghaḌī mujh ko hī to samjhāvegā
āshnā.ī na 'jahāñdār' se toḌ ai pyāre
aisā āshiq na jahāñ meñ tū koī pāvegā
mujh se aashiq ke tain mar ke kya pawega
muft badnami tujhe howegi pachhtawega
jo tera aashiq-e-raftar hai jun naqsh-e-qadam
tere kuche ke tain chhoD kahan jawega
ghair ke kahne par ai yar na kahiyo hargiz
ye samajh rakhiyo wo shaitan hai bahkawega
dahr mein tere farebon se ai shoKH ayyar
kam koi hoga na dil jis ka dagha pawega
yar ko tarz-e-jafa se nahin rakhne ka baz
naseha har ghaDi mujh ko hi to samjhawega
aashnai na 'jahandar' se toD ai pyare
aisa aashiq na jahan mein tu koi pawega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.