mujh aise wamanda-e-jaan ko bistar-wistar kya
mujh aise vāmānda-e-jāñ ko bistar-vistar kyā
pal do pal ko muuñd luuñ āñkheñ varna ghar-var kyā
chhoḌo kyā ronā le baiThe ranj-o-rāhat kā
qaid hī jab Thahrī hastī to behtar-vehtar kyā
maiñ bhī sar Takrātā phirā huuñ dīvāroñ se bahut
DhūñDh rahe ho is gumbad meñ koī dar-var kyā
āḳhir ko thak-hār ke mujh ko zamīñ par aanā hai
zor-o-shor-e-bāzū kaisā shahpar-vahpar kyā
mere qalam hī se jab merā rizq utartā hai
jaanā hai ik kār-e-ziyāñ ko daftar-vaftar kyā
sūrat ek tarāshūñgā to sau rah jā.eñgī
kyuuñ patthar ko subuk karūñ maiñ paikar-vaikar kyā
bālīda bār-āvar honā miTTī ho jaanā
sarsabzī zarḳhezī kaisī banjar-vanjar kyā
aab o sarāb o ḳhvāb o haqīqat ek se lagte haiñ
dīda-varī kyā ā.īna kā jauhar-vauhar kyā
mujh ko bahā.e le jaatī hai ḳhud hī mauj mirī
merā rasta rok sakeñge patthar-vatthar kyā
rang-e-shafaq sabze kā nasha kuchh nahīñ āñkhoñ meñ
duur ḳhalā meñ dekh rahā huuñ manzar-vanzar kyā
merā aur sāhil kā rishta kab kā TuuT chukā
'zeb' kahāñ kā ḳhema-e-kashtī lañgar-vañgar kyā
mujh aise wamanda-e-jaan ko bistar-wistar kya
pal do pal ko mund lun aankhen warna ghar-war kya
chhoDo kya rona le baiThe ranj-o-rahat ka
qaid hi jab Thahri hasti to behtar-wehtar kya
main bhi sar Takraata phira hun diwaron se bahut
DhunDh rahe ho is gumbad mein koi dar-war kya
aaKHir ko thak-haar ke mujh ko zamin par aana hai
zor-o-shor-e-bazu kaisa shahpar-wahpar kya
mere qalam hi se jab mera rizq utarta hai
jaana hai ek kar-e-ziyan ko daftar-waftar kya
surat ek tarashunga to sau rah jaengi
kyun patthar ko subuk karun main paikar-waikar kya
baalida bar-awar hona miTTi ho jaana
sarsabzi zarKHezi kaisi banjar-wanjar kya
aab o sarab o KHwab o haqiqat ek se lagte hain
dida-wari kya aaina ka jauhar-wauhar kya
mujh ko bahae le jati hai KHud hi mauj meri
mera rasta rok sakenge patthar-watthar kya
rang-e-shafaq sabze ka nasha kuchh nahin aankhon mein
dur KHala mein dekh raha hun manzar-wanzar kya
mera aur sahil ka rishta kab ka TuT chuka
'zeb' kahan ka KHema-e-kashti langar-wangar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.