mujhse anjaan to nahin ho tum
mujh se anjān to nahīñ ho tum
itne be-dhyān to nahīñ ho tum
ye ba-zāhir jo be-niyāzī hai
kuchh pareshān to nahīñ ho tum
kaisī vahshat hai kyoñ bhaTakte ho
ḳhāna-vīrān to nahīñ ho tum
aao baiTho karo gile shikve
koī mehmān to nahīñ ho tum
ishq meñ kaam aql se loge
aise nādān to nahīñ ho tum
kyā kahā taḳhliya are tauba
koī sultān to nahīñ ho tum
mujh se anjaan to nahin ho tum
itne be-dhyan to nahin ho tum
ye ba-zahir jo be-niyazi hai
kuchh pareshan to nahin ho tum
kaisi wahshat hai kyon bhaTakte ho
KHana-viran to nahin ho tum
aao baiTho karo gile shikwe
koi mehman to nahin ho tum
ishq mein kaam aql se loge
aise nadan to nahin ho tum
kya kaha taKHliya are tauba
koi sultan to nahin ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.