mujhse bazi le gaya phir ba-KHuda mera nasib
mujh se baazī le gayā phir bā-ḳhudā merā nasīb
maiñ sisaktā rah gayā hañstā rahā merā nasīb
zindagī ke naam par jab zindagī mujh ko milī
imtihāñ-dar-imtihāñ likkhā gayā merā nasīb
maiñ to rishtoñ kī tamāzat se jhulas kar rah gayā
aur us par tiir kī sūrat lagā merā nasīb
kyā samajhtā maiñ bhalā mahdūd huuñ apne ta.iiñ
ki sazā hai yā kisī kī bad-duā merā nasīb
hasratoñ ne lā ke pheñkā jab mujhe bāzār meñ
boliyāñ lagtī rahīñ biktā rahā merā nasīb
chaak par kūza-garī ke ba.ad us ḳhattāt ne
haath kī uljhī lakīroñ par likhā merā nasīb
jab kahīñ gherā ġhamoñ kī āñdhiyoñ ne bā-ḳhudā
daldaloñ meñ le ke mujh ko gir paḌā merā nasīb
kab talak piitā rahūñ ai zindagī maiñ jām-e-ġham
kab talak mujh se rahe kā yuuñ ḳhafā merā nasīb
ik qadam maiñ ne uThāyā toḌ kar zanjīr-e-pā
bichh gayā kāñToñ kī sūrat jā-ba-jā merā nasīb
hai sabab mauj-e-'nasīmī' kī ravānī kā yahī
dastaras meñ jo nahīñ mere ḳhudā merā nasīb
mujh se bazi le gaya phir ba-KHuda mera nasib
main sisakta rah gaya hansta raha mera nasib
zindagi ke nam par jab zindagi mujh ko mili
imtihan-dar-imtihan likkha gaya mera nasib
main to rishton ki tamazat se jhulas kar rah gaya
aur us par tir ki surat laga mera nasib
kya samajhta main bhala mahdud hun apne tain
ki saza hai ya kisi ki bad-dua mera nasib
hasraton ne la ke phenka jab mujhe bazar mein
boliyan lagti rahin bikta raha mera nasib
chaak par kuza-gari ke baad us KHattat ne
hath ki uljhi lakiron par likha mera nasib
jab kahin ghera ghamon ki aandhiyon ne ba-KHuda
daldalon mein le ke mujh ko gir paDa mera nasib
kab talak pita rahun ai zindagi main jam-e-gham
kab talak mujh se rahe ka yun KHafa mera nasib
ek qadam main ne uThaya toD kar zanjir-e-pa
bichh gaya kanTon ki surat ja-ba-ja mera nasib
hai sabab mauj-e-'nasimi' ki rawani ka yahi
dastaras mein jo nahin mere KHuda mera nasib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.