mujhse banta hua tu tujhko banata hua main
mujh se bantā huā tū tujh ko banātā huā maiñ
giit hotā huā tū giit sunātā huā maiñ
ek kuuze ke tasavvur se juḌe ham donoñ
naqsh detā huā tū chaak ghumātā huā maiñ
tum banāo kisī tasvīr meñ koī rasta
maiñ banātā huuñ kahīñ duur se aatā huā maiñ
ek tasvīr kī takmīl ke ham do pahlū
rañg bhartā huā tū rañg banātā huā maiñ
mujh ko le jaa.e kahīñ duur bahātī huī tū
tujh ko le jā.ūñ kahīñ duur uḌātā huā maiñ
ik ibārat hai jo tahrīr nahīñ ho paa.ī
mujh ko likhtā huā tū tujh ko miTātā huā maiñ
mere siine meñ kahīñ ḳhud ko chhupātā huā tū
tere siine se tirā dard churātā huā maiñ
kāñch kā ho ke mire aage bikhartā huā tū
kirchiyoñ ko tirī palkoñ se uThātā huā maiñ
mujh se banta hua tu tujh ko banata hua main
git hota hua tu git sunata hua main
ek kuze ke tasawwur se juDe hum donon
naqsh deta hua tu chaak ghumata hua main
tum banao kisi taswir mein koi rasta
main banata hun kahin dur se aata hua main
ek taswir ki takmil ke hum do pahlu
rang bharta hua tu rang banata hua main
mujh ko le jae kahin dur bahati hui tu
tujh ko le jaun kahin dur uData hua main
ek ibarat hai jo tahrir nahin ho pai
mujh ko likhta hua tu tujh ko miTata hua main
mere sine mein kahin KHud ko chhupata hua tu
tere sine se tera dard churaata hua main
kanch ka ho ke mere aage bikharta hua tu
kirchiyon ko teri palkon se uThata hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.