mujhse behtar to mil gaya hai tumhein
mujh se behtar to mil gayā hai tumheñ
aur allah se kyā gila hai tumheñ
ham ikaTThe nahīñ raheñge kabhī
mere bachchoñ kā to patā hai tumheñ
maiñ tumheñ dekh bhī nahīñ saktā
dekhnā bhī to mas.ala hai tumheñ
ya.anī tum itnī ḳhūbsūrat ho
chhoTā bachcha bhī dekhtā hai tumheñ
maiñ tumhārā agar batā bhī duuñ
log pūchheñge aur kyā hai tumheñ
jo kisī ko kabhī nahīñ hotā
kitnī āsānī se huā hai tumheñ
mujh se behtar to mil gaya hai tumhein
aur allah se kya gila hai tumhein
hum ikaTThe nahin rahenge kabhi
mere bachchon ka to pata hai tumhein
main tumhein dekh bhi nahin sakta
dekhna bhi to masala hai tumhein
yani tum itni KHubsurat ho
chhoTa bachcha bhi dekhta hai tumhein
main tumhaara agar bata bhi dun
log puchhenge aur kya hai tumhein
jo kisi ko kabhi nahin hota
kitni aasani se hua hai tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.