mujhse dil aap ka mukaddar hai
mujh se dil aap kā mukaddar hai
aisā jiinā mujhe bhī dūbhar hai
kyā qalam-kāriyāñ haiñ qudrat kī
ek pattī hazār daftar hai
haath aa.e to dil meñ rakh luuñ maiñ
kaisā pyārā tumhārā ḳhanjar hai
apnī shah-rag kā ḳhuuñ pilā.ūñ ise
do mujhe ye tumhārā ḳhanjar hai
ye isī ke liye huā paidā
aap kī teġh hai mirā sar hai
bhūltī hī nahīñ hai yaad tirī
raat bhar hai ye shaġhl din bhar hai
apnī hī shakl ke vo āshiq haiñ
bas nazar un kī aa.ine par hai
dekh kar un ko jī gayā āshiq
ye hai sūrat jo rūh-parvar hai
haath ḳhālī agar haiñ kyā parvā
jaan hāzir hai dil tavangar hai
mar gayā aaj aap kā āshiq
ab na vo shor hai na vo shar hai
shā.erī kā mazā gayā 'akbar'
ab hujūm āfatoñ kā dil par hai
mujh se dil aap ka mukaddar hai
aisa jina mujhe bhi dubhar hai
kya qalam-kariyan hain qudrat ki
ek patti hazar daftar hai
hath aae to dil mein rakh lun main
kaisa pyara tumhaara KHanjar hai
apni shah-rag ka KHun pilaun ise
do mujhe ye tumhaara KHanjar hai
ye isi ke liye hua paida
aap ki tegh hai mera sar hai
bhulti hi nahin hai yaad teri
raat bhar hai ye shaghl din bhar hai
apni hi shakl ke wo aashiq hain
bas nazar un ki aaine par hai
dekh kar un ko ji gaya aashiq
ye hai surat jo ruh-parwar hai
hath KHali agar hain kya parwa
jaan hazir hai dil tawangar hai
mar gaya aaj aap ka aashiq
ab na wo shor hai na wo shar hai
shaeri ka maza gaya 'akbar'
ab hujum aafaton ka dil par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.