mujhse hi mujhko ab to milata nahin koi
mujh se hī mujh ko ab to milātā nahīñ koī
ik aa.ina bhī mujh ko dikhātā nahīñ koī
kyā jaane kyā hue vo sharāfat pasand log
ab ḳhairiyat bhī un kī batātā nahīñ koī
is ḳhauf meñ ki khud na bhaTak jaa.eñ raah meñ
bhaTke huoñ ko raah dikhātā nahīñ koī
sachchā.iyoñ ke rāste sunsān ho ga.e
bhūle se bhī yahāñ nazar aatā nahīñ koī
hassās haiñ jo aap to chehre paḌhā kareñ
zaḳhmoñ ko apne aap dikhātā nahīñ koī
nākāmiyoñ kī sej pe baiThā huuñ is liye
'tābāñ' yahāñ se mujh ko uThātā nahīñ koī
mujh se hi mujh ko ab to milata nahin koi
ek aaina bhi mujh ko dikhata nahin koi
kya jaane kya hue wo sharafat pasand log
ab KHairiyat bhi un ki batata nahin koi
is KHauf mein ki khud na bhaTak jaen rah mein
bhaTke huon ko rah dikhata nahin koi
sachchaiyon ke raste sunsan ho gae
bhule se bhi yahan nazar aata nahin koi
hassas hain jo aap to chehre paDha karen
zaKHmon ko apne aap dikhata nahin koi
nakaamiyon ki sej pe baiTha hun is liye
'taban' yahan se mujh ko uThata nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.