Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhse kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai

Majrooh Sultanpuri

mujhse kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai

Majrooh Sultanpuri

MORE BYMajrooh Sultanpuri

    mujh se kahā jibrīl-e-junūñ ne ye bhī vahi-e-ilāhī hai

    maz.hab to bas mazhab-e-dil hai baaqī sab gumrāhī hai

    vo jo hue firdaus-badar taqsīr thī vo aadam magar

    merā azāb-e-dar-badarī merī nā-karda-gunāhī hai

    sang to koī baḌh ke uThāo shāḳh-e-samar kuchh duur nahīñ

    jis ko bulandī samjhe ho in hāthoñ kotāhī hai

    phir koī manzar phir vahī gardish kyā kiije ai kū-e-nigār

    mere liye zanjīr-e-gulū merī āvārā-nigāhī hai

    bahr-e-ḳhudā ḳhāmosh raho bas dekhte jaao ahl-e-nazar

    kyā laġhzīda-qadam haiñ us ke kyā duzdīda-nigāhī hai

    diid ke qābil hai to sahī 'majrūh' tirī mastāna-ravī

    gard-e-havā hai raḳht-e-safar raste shajar ham-rāhī hai

    mujh se kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai

    mazhab to bas mazhab-e-dil hai baqi sab gumrahi hai

    wo jo hue firdaus-badar taqsir thi wo aadam ki magar

    mera azab-e-dar-badari meri na-karda-gunahi hai

    sang to koi baDh ke uThao shaKH-e-samar kuchh dur nahin

    jis ko bulandi samjhe ho in hathon ki kotahi hai

    phir koi manzar phir wahi gardish kya kije ai ku-e-nigar

    mere liye zanjir-e-gulu meri aawara-nigahi hai

    bahr-e-KHuda KHamosh raho bas dekhte jao ahl-e-nazar

    kya laghzida-qadam hain us ke kya duzdida-nigahi hai

    did ke qabil hai to sahi 'majruh' teri mastana-rawi

    gard-e-hawa hai raKHt-e-safar raste ka shajar ham-rahi hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri

    Source :
    • Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 142)
    • Author : فرحت احساس
    • Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now