mujhse kyun kahte ho mazmun ghair ki tahrir ka
mujh se kyuuñ kahte ho mazmūñ ġhair kī tahrīr kā
jāntā huuñ mudda.ā maiñ aap kī taqrīr kā
saath gar sone na doge tum ko bhī niiñd aa chukī
maiñ to aadī ho gayā huuñ nāla-e-shab-gīr kā
apne matlab kī samajh kar ho ga.e the ham to ḳhush
kyuuñ mukarte ho yahī matlab hai us taqrīr kā
ahd kis kaa, aap jo kahte use sach jāntā
kyā karūñ qaa.il huuñ maiñ to ġhair kī tadbīr kā
kuchh asar un par huā to kyā hī dete haiñ fareb
kahte haiñ qaa.il nahīñ maiñ āh-e-be-tāsīr kā
ye to farmāo ki kyā us ko karūñgā maiñ muaaf
mere aage zikr kyuuñ hai ġhair kī taqsīr kā
ek din sun kar chale aa.e the vo be-sāḳhta
āsmāñ par hai dimāġh ab āh-e-be-tāsīr kā
pañja-e-ulfat se pakḌā hai use dil ne mire
sahl hai qātil koī pahlū se khiñchnā tiir kā
koshish-e-bejā thī ye kuchh e'timād-e-aql par
ab ye darja hai ki qaa.il hī nahīñ tadbīr kā
jitne sar haiñ utne saude kyā ḳhatā nāseh mirī
maiñ hī ik qaidī nahīñ us zulf-e-ālam-gīr kā
kyā kahā thā maiñ ne tum kyā samjhe is kā kyā ilaaj
tum hī munsif ho ye matlab thā mirī taqrīr kā
ye mirā likkhā ki jo tadbīr kī ulTī paḌī
aur is par bhī mujhe shikva nahīñ taqdīr kā
jazb-e-ulfat is ko kahte haiñ kahīñ paḌ jaa.e haath
zaḳhm dil par hī pahuñchtā hai tirī shamshīr kā
mujh ko us ke paas jaanā us meñ jo kuchh ho 'nizām'
ek matlab jāntā huuñ zillat o tauqīr kā
mujh se kyun kahte ho mazmun ghair ki tahrir ka
jaanta hun muddaa main aap ki taqrir ka
sath gar sone na doge tum ko bhi nind aa chuki
main to aadi ho gaya hun nala-e-shab-gir ka
apne matlab ki samajh kar ho gae the hum to KHush
kyun mukarte ho yahi matlab hai us taqrir ka
ahd kis ka, aap jo kahte use sach jaanta
kya karun qail hun main to ghair ki tadbir ka
kuchh asar un par hua to kya hi dete hain fareb
kahte hain qail nahin main aah-e-be-tasir ka
ye to farmao ki kya us ko karunga main muaf
mere aage zikr kyun hai ghair ki taqsir ka
ek din sun kar chale aae the wo be-saKHta
aasman par hai dimagh ab aah-e-be-tasir ka
panja-e-ulfat se pakDa hai use dil ne mere
sahl hai qatil koi pahlu se khinchna tir ka
koshish-e-beja thi ye kuchh e'timad-e-aql par
ab ye darja hai ki qail hi nahin tadbir ka
jitne sar hain utne saude kya KHata naseh meri
main hi ek qaidi nahin us zulf-e-alam-gir ka
kya kaha tha main ne tum kya samjhe is ka kya ilaj
tum hi munsif ho ye matlab tha meri taqrir ka
ye mera likkha ki jo tadbir ki ulTi paDi
aur is par bhi mujhe shikwa nahin taqdir ka
jazb-e-ulfat is ko kahte hain kahin paD jae hath
zaKHm dil par hi pahunchta hai teri shamshir ka
mujh ko us ke pas jaana us mein jo kuchh ho 'nizam'
ek matlab jaanta hun zillat o tauqir ka
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.