mujhse luknat hui aur baat sanbhaali usne
mujhse luknat hui aur baat sanbhaali usne
Shahnaz Parveen Sahar
MORE BYShahnaz Parveen Sahar
mujh se luknat huī aur baat sañbhālī us ne
bas kabhī dekhī nahīñ aañkh kī laalī us ne
vo gale miltā hai malbūs bachā kar apnā
zindagī kaisī kalaf-dār banā lī us ne
ajnabī samt meñ parvāz-e-tajassus us kā
dam-ba-ḳhud ghar se alag jhok basā lī us ne
itnā mādūm huā vo ki nazar se bichhḌā
lams kī yaad bhī poroñ se uThā lī us ne
jism ke paar mirī ruuh talak sannāTā
hijr kī raakh meñ miTTī mirī Dhālī us ne
mom-battī ke muqābil meñ biThā kar us ko
khīñch lī phir koī tasvīr misālī us ne
munkashif ho gayā ik aur mohazzab lamha
ḳhud jalā kar bhī mirī raakh sañbhālī us ne
maiñ samā.at kā hunar bhuul hī jā.ūñ na 'sahar'
chhū ke dekhī hai mire kaan kī baalī us ne
mujh se luknat hui aur baat sanbhaali us ne
bas kabhi dekhi nahin aankh ki lali us ne
wo gale milta hai malbus bacha kar apna
zindagi kaisi kalaf-dar bana li us ne
ajnabi samt mein parwaz-e-tajassus us ka
dam-ba-KHud ghar se alag jhok basa li us ne
itna madum hua wo ki nazar se bichhDa
lams ki yaad bhi poron se uTha li us ne
jism ke par meri ruh talak sannaTa
hijr ki rakh mein miTTi meri Dhaali us ne
mom-batti ke muqabil mein biTha kar us ko
khinch li phir koi taswir misali us ne
munkashif ho gaya ek aur mohazzab lamha
KHud jala kar bhi meri rakh sanbhaali us ne
main samaat ka hunar bhul hi jaun na 'sahar'
chhu ke dekhi hai mere kan ki baali us ne
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.