mujhse meri hayat ruTh gai
mujh se merī hayāt ruuTh ga.ī
tum nahīñ kā.enāt ruuTh ga.ī
vo baḌī mushkiloñ se aa.ī thī
tum na aa.e to raat ruuTh ga.ī
maut ko maut aa ga.ī shāyad
yā hamārī najāt ruuTh ga.ī
zindagī ġham kā saath de na sakī
daf.atan be-sabāt ruuTh ga.ī
'soz' ishrat meñ saath thī duniyā
par dam-e-mushkilāt ruuTh ga.ī
mujh se meri hayat ruTh gai
tum nahin kaenat ruTh gai
wo baDi mushkilon se aai thi
tum na aae to raat ruTh gai
maut ko maut aa gai shayad
ya hamari najat ruTh gai
zindagi gham ka sath de na saki
dafatan be-sabaat ruTh gai
'soz' ishrat mein sath thi duniya
par dam-e-mushkilat ruTh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.