mujhse pahle mere watire dekh
mujh se pahle mire vatīre dekh
jism hai ek chehre kitne dekh
sabz mausam bhī kyā hameñ degā
TūTte girte sabz patte dekh
be-amāñ shahr meñ amaañ kab tak
ruup dhāre khaḌe haiñ fitne dekh
qurbatoñ chāhatoñ ke qisse fuzūl
zaḳhm kitne lage haiñ gahre dekh
ab ye behtar hai dhuup hī oḌheñ
duur tak peḌ haiñ na saa.e dekh
maiñ akelā huuñ tū bhī tanhā hai
ham bhī kitne haiñ be-sahāre dekh
aa.ine pī liye haiñ chehroñ ne
ab tū har samt sirf chehre dekh
mujh se pahle mere watire dekh
jism hai ek chehre kitne dekh
sabz mausam bhi kya hamein dega
TuTte girte sabz patte dekh
be-aman shahr mein aman kab tak
rup dhaare khaDe hain fitne dekh
qurbaton chahaton ke qisse fuzul
zaKHm kitne lage hain gahre dekh
ab ye behtar hai dhup hi oDhen
dur tak peD hain na sae dekh
main akela hun tu bhi tanha hai
hum bhi kitne hain be-sahaare dekh
aaine pi liye hain chehron ne
ab tu har samt sirf chehre dekh
- Book : Aabnaai (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.