mujhse saqi ne kahi raat ko kya baat ai josh
mujh se saaqī ne kahī raat ko kyā baat ai 'josh'
yaanī azdād haiñ parvarda-e-yak-zāt ai 'josh'
mast o begāna guzar jā kura-e-ḳhākī se
ye to hai rahguzar-e-sail-e-ḳhayālāt ai 'josh'
aur to aur ḳhud insān bahā jaatā hai
kitnā pur-haul hai tūfān-e-rivāyāt ai 'josh'
log kahte haiñ hijābāt nahīñ juz āyāt
kis se kahiye ki ye āyāt haiñ ḳhud zaat ai 'josh'
ahl-e-alfāz sharī.at pe miTe jaate haiñ
kis ko samjhā.ūñ mashiyyat ke ishārāt ai 'josh'
dekhiye sub.h-e-junūñ zehn meñ kab taal.e ho
aql suntā huuñ ki hai ik abadī raat ai 'josh'
quvvat-e-kal ke masāleh se aur itne bad-zan
vaa.e bar-daġhdaġha-e-ahl-e-munājāt ai 'josh'
sāġhar-e-mai hī meñ hotā hai tulū aur ġhurūb
āfrīñ bar-dil-e-rindān-e-ḳharābāt ai 'josh'
kaun mānegā ki haiñ ain-e-mashiyyat vallāh
zindagānī ke ye bigḌe hue ādāt ai 'josh'
tujh ko kyā faqr meñ rāhat hai ki shāhī meñ farāġh
tū to hai ḳhalvati-e-pīr-e-ḳharābāt ai 'josh'
mujh se saqi ne kahi raat ko kya baat ai 'josh'
yani azdad hain parwarda-e-yak-zat ai 'josh'
mast o begana guzar ja kura-e-KHaki se
ye to hai rahguzar-e-sail-e-KHayalat ai 'josh'
aur to aur KHud insan baha jata hai
kitna pur-haul hai tufan-e-riwayat ai 'josh'
log kahte hain hijabaat nahin juz aayat
kis se kahiye ki ye aayat hain KHud zat ai 'josh'
ahl-e-alfaz shariat pe miTe jate hain
kis ko samjhaun mashiyyat ke ishaaraat ai 'josh'
dekhiye subh-e-junun zehn mein kab tale ho
aql sunta hun ki hai ek abadi raat ai 'josh'
quwwat-e-kal ke masaleh se aur itne bad-zan
wae bar-daghdagha-e-ahl-e-munajat ai 'josh'
saghar-e-mai hi mein hota hai tulu aur ghurub
aafrin bar-dil-e-rindan-e-KHarabaat ai 'josh'
kaun manega ki hain ain-e-mashiyyat wallah
zindagani ke ye bigDe hue aadat ai 'josh'
tujh ko kya faqr mein rahat hai ki shahi mein faragh
tu to hai KHalwati-e-pir-e-KHarabaat ai 'josh'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.