mujhse thoDa sa bhi bezar nahin ho sakti
mujh se thoḌā sā bhī bezār nahīñ ho saktī
zindagī merī taraf-dār nahīñ ho saktī
kab talak aur chamaknā hai sitāroñ ko vahāñ
kyā yahāñ par kabhī bauchhār nahīñ ho saktī
diin ko ġhaib kī zanjīr se jakḌe rahnā
kyūñki duniyā to giraftār nahīñ ho saktī
na.e sayyāroñ ke milne pe ḳhushī hotī hai
ye zamīñ to mirā ghar-bār nahīñ ho saktī
jañg darpesh ik aisī hai mujhe jis ke liye
ummat-e-muslima tayyār nahīñ ho saktī
aisī bārish se mirā jism bahal saktā hai
par mirī ruuh to sarshār nahīñ ho saktī
ek paiġhām ki bhijvāne meñ itne vaqfe
kyā yahī baat lagātār nahīñ ho saktī
mujh se thoDa sa bhi bezar nahin ho sakti
zindagi meri taraf-dar nahin ho sakti
kab talak aur chamakna hai sitaron ko wahan
kya yahan par kabhi bauchhaar nahin ho sakti
din ko ghaib ki zanjir se jakDe rahna
kyunki duniya to giraftar nahin ho sakti
nae sayyaron ke milne pe KHushi hoti hai
ye zamin to mera ghar-bar nahin ho sakti
jang darpesh ek aisi hai mujhe jis ke liye
ummat-e-muslima tayyar nahin ho sakti
aisi barish se mera jism bahal sakta hai
par meri ruh to sarshaar nahin ho sakti
ek paigham ki bhijwane mein itne waqfe
kya yahi baat lagatar nahin ho sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.